Tuesday 15 March 2011

NAARI

Zindgi ki adbhud rachana hai naari,
Pursho ki is duniya me sangharsh karti hai naari,
Purani paramparao aur riti-rivajo ki bediyon se jakadi hui hai naari,
Har waqt jhoote aadambaron ke liye agni pariksha deti hai naari,
Jakadi jati hai samajik bediyon se naari,
Fir bhi kabhi shikayat na karti hai ye naari,
Mamaratva ke sukh  ko jab pati hai naari,
To bhool jaati hai is kador zivan ko ye naari,
Ban jaati hai mamta ki misaal naari,
Apne nanhe podhe (bache) ko mamratva se sinchti hai naari,
Nahi aane deti kabhi us par aanch ye naari,
Aur na hi uff tak karti hai uske liye chot khane par ye naari,
Vahi podhe kyu bade hone pe samajh na pate us naari ko,
Aur atyachar karte hai usi naari par.. jisne sincha hai unhe apne dhoodh se,
Fir bhi apne aham ko bhool unhe maaf karti hai ye naari,
Kyu bhara hai usma itna pyar, Ye sawal hai is samaj ka..??

kyuiki sakshat bhagwaan ka dusra roop hai ye naari..